Rajanigandha



Tum shabdon mein pirona shuru karo, main khayal ban kar aa jaungi !

Sookhe-sookhe rishte sab ke...............................sookhi sabki baatein
Subah-dopehari veeraan hain shamein...............andheri ankat raatein
Tum ko o saajan kaise aaj..................sandesh yeh pahuncha paaungi
Tum saavan ban kar aa jaao.............................main sarita ban jaungi !

Is jeevan mein bahut si baatein.....................chuppi mein ho jaati hain
Nazaron se milti hain nazarein...................taqderein badalti jaatein hain
Aaj jo aandolit man mera.........................main chup kaise reh paaungi
Tum cherdo koi taan o saajan.......................main sangeet ban jaungi !

Pehli kiran jo aaj subah............................................aai lekar tera naam
Main kutch ghabraai ,phir sharmaai...........man mein kia tujhiko salaam
Ab aur nahin koi bhi soorat......................ki baat yeh kahin chup jayegi
Tum aalingan ban kar aa jao............................main ehsaas ban jaungi !

Jisko dekho masroof wohi hai..................anginat-se apne kaamon mein
Jeevan ka vyaapar kathin hai.................ras raha kahan ab manav mein
Tujh se lekin aaj o saajan................................pran main yeh kar jaungi
Tum kalam utha kar jidhar bhi dekho.................main kavita ban jaungi

Jeevan mein sangharsh bahut hain par tum jeet hi aaoge
Aasman se taare la kar dharti ki chunri sajaoge
Par jab mujhko tum yaad karo main jhat haazir ho jaungi
Tum jab jab rajnigandha ban mehkoge main shabnam ban jaungi !


This poem is written by @Aditya Neogi

6 comments:

  1. very nice loved the kavita kuch kashish hai is mein kuch hai baat isme alag ...

    Shruti....

    ReplyDelete
  2. ek comment aur ...hindi ki kavita blog pe to devnagri mein honi chahiye :)) you can additionally keep the roman hindi too ...

    shruti....

    ReplyDelete
  3. Superb poem ratz...Loved it...

    ReplyDelete
  4. Thank you Sharad for sharing these verses by Aditya Neogi. Sundar rachna hai, sundar khyal aur sundar bhavnayein:)

    ReplyDelete
  5. This poem touched my inner soul. Beautifully chosen words and emotions very well depicted.
    Simply loved it.

    ReplyDelete
  6. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete